قلب میں عشق آل رکھا ہے
Qalb mein Ishq-e-Aal Rakha Hai
قلب میں عشقِ آل رکھا ہے
خوب اِس کو سنبھال رکھا ہے
ایسا جُود و نَوال رکھا ہے
سب غلاموں کو پال رکھا ہے
شکر تیرا کہ ان کی اُمّت میں
مجھ کو اے ذُوالجلال رکھا ہے
جمع کر کے کبھی نہ سَرْوَر نے
کوئی مال و مَنال رکھا ہے
حُبِّ دنیا نے یارسولَ اللہ
مجھ کو مشکل میں ڈال رکھا ہے
جو بھی دیکھے بنے وہ دیوانہ
اُن میں ایسا جمال رکھا ہے
جلد لیجے خبر گناہوں کے
درد نے کر نڈھال رکھا ہے
ایسا دو عشق سب کہیں اس کے
دل میں سوزِ بلال رکھا ہے
نارِ دوزخ جلائے گی کیوں کر
دل میں عشق اُن کا ڈال رکھا ہے
ہوں گنہگار پر غلاموں میں
تم نے اب بھی بحال رکھا ہے
میں نثار آپ نے سدا میرا
ہر قدم پر خیال رکھا ہے
میں جہنّم میں گر گیا ہوتا
آپ ہی نے سنبھال رکھا ہے
مصطفٰے نے ہمارے عیبوں پر
پردہ دامن کا ڈال رکھا ہے
شکریہ تم نے آل کا صدقہ
میری جھولی میں ڈال رکھا ہے
”چل مدینہ“ کی بھیک مل جائے
عاشقوں نے سوال رکھا ہے
دیدو زادِ سفر مدینے کا
سائلوں نے سوال رکھا ہے
دیکھو دیوانو! سبز گنبد میں
کیسا حُسن و جمال رکھا ہے
کیوں جہنّم میں جاؤں سینے میں
عشقِ اصحاب و آل رکھا ہے
میں کبھی کا بھٹک گیا ہوتا
مصطفٰے نے سنبھال رکھا ہے
عاشقِ مال اس میں سوچ آخر
کیا عُروج و کمال رکھا ہے؟
تجھ کو مل جائے گا جو قسمت میں
تیری، رزقِ حلال رکھا ہے
اِس جہاں کے کمال میں بے شک
اِک نہ اِک دن زوال رکھا ہے
تجھ سے آقا ترے سُوالی نے
مغفرت کا سوال رکھا ہے
سُن لو شیطاں نے ہر سُو شہوت کا
خوب پھیلا کے جال رکھا ہے
جنّتی ہے وہ جس نے سنّت کے
خود کو سانچے میں ڈھال رکھا ہے
جو ہے گستاخِ مصطفٰے اُس کو
میں نے دل سے نکال رکھا ہے
وہ مسلماں نصیب والا ہے
جس کے پاس اُن کا بال رکھا ہے
مفلسی کا میں کیوں کروں شکوہ
نعمتوں سے نہال رکھا ہے
مال کی حِرص مت کرو اس میں
دو جہاں کا وبال رکھا ہے
یہ کرم ہی تو ان کا ہے عطّار
تجھ منگتے کو پال رکھا ہے
Qalb mein ishq-e-Aal rakkha hai
Khoob is ko sambhaal rakkha hai
Aisa jood-o-nawaal rakkha hai
Sab ghulaamon ko paal rakkha hai
Shukr tera ke un ki ummat mein
Mujh ko ae Zuljalal rakkha hai
Jama kar ke kabhi na Sarwar ne
Koi maal-o-manaal rakkha hai
Hubb-e-duniya ne Ya Rasul Allah
Mujh ko mushkil mein daal rakkha hai
Jo bhi dekhe bane woh deewana
Un mein aisa jamaal rakkha hai
Jald leeje khabar gunahon ke
Dard ne kar nidhaal rakkha hai
Aisa do ishq sab kahein is ke
Dil mein soz-e-Bilal rakkha hai
Naar-e-dozakh jalaayegi kyun kar
Dil mein ishq un ka daal rakkha hai
Hun gunahgar par ghulaamon mein
Tum ne ab bhi bahaal rakkha hai
Main nisaar aap ne sada mera
Har qadam par khayaal rakkha hai
Main jahannam mein gir gaya hota
Aap hi ne sambhaal rakkha hai
Mustafa ne hamare aibon par
Parda daaman ka daal rakkha hai
Shukriya tum ne Aal ka sadqa
Meri jholi mein daal rakkha hai
"Chal Madina" ki bheek mil jaaye
Aashiqon ne sawaal rakkha hai
De do zaad-e-safar Madine ka
Saailon ne sawaal rakkha hai
Dekho deewano! Sabz Gumbad mein
Kaisa husn-o-jamaal rakkha hai
Kyun jahannam mein jaaoon seene mein
Ishq-e-Ashaab-o-Aal rakkha hai
Main kabhi ka bhatak gaya hota
Mustafa ne sambhaal rakkha hai
Aashiq-e-maal is mein soch aakhir
Kya urooj-o-kamaal rakkha hai?
Tujh ko mil jaayega jo qismat mein
Teri, rizq-e-halaal rakkha hai
Is jahan ke kamaal mein beshak
Ik na ik din zawaal rakkha hai
Tujh se Aqa tere sawaali ne
Maghfirat ka sawaal rakkha hai
Sun lo shaitan ne har soo shahwat ka
Khoob phaila ke jaal rakkha hai
Jannati hai woh jis ne sunnat ke
Khud ko saanche mein dhaal rakkha hai
Jo hai gustakh-e-Mustafa us ko
Main ne dil se nikaal rakkha hai
Woh Musalman naseeb wala hai
Jis ke paas un ka baal rakkha hai
Muflisi ka main kyun karun shikwa
Nematon se nihaal rakkha hai
Maal ki hirs mat karo is mein
Do jahan ka wabaal rakkha hai
Yeh karam hi to un ka hai Attar
Tujh mangte ko paal rakkha hai
علامہ محمد الیاس قادری عطاری
امیرِ اہل سنت حضرت علامہ مولانا محمد الیاس عطار قادری بین الاقوامی اسلامی تحریک دعوتِ اسلامی کے بانی ہیں۔ آپ کے نعتیہ و مناجات کے کلام میں بے پناہ سوز و گداز اور عشقِ رسولؐ...
