خفتگان خاک سے استفسار
Khuftagaan-e-Khaak se Istifsaar – Mehar Roshan Chup Geya
مہر روشن چھپ گيا ، اٹھي نقاب روئے شام
شانہ ہستي پہ ہے بکھرا ہوا گيسوئے شام
يہ سيہ پوشي کي تياري کس کے غم ميں ہے
محفل قدرت مگر خورشيد کے ماتم ميں ہے
کر رہا ہے آسماں جادو لب گفتار پر
ساحر شب کي نظر ہے ديدہ بيدار پر
غوطہ زن درياے خاموشي ميں ہے موج ہوا
ہاں ، مگر اک دور سے آتي ہے آواز درا
دل کہ ہے بے تابي الفت ميں دنيا سے نفور
کھنچ لايا ہے مجھے ہنگامہ عالم سے دور
منظر حرماں نصيبي کا تماشائي ہوں ميں
ہم نشين خفتگان کنج تنہائي ہوں ميں
Khuftagan-e-Khak Se Istafsar
The Interrogation Of The Dead
Mehr-e-Roshan Chup Gya, Uthi Niqab-e-Ruye Sham
Shan-e-Hasti Pe Hai Bikhra Huwa Gaisuay Sham
Ye Seyh Poshi Ki Tayari Kisi Ke Gham Mein Hai
Mehfil-e-Qudrat Magar Khurshid Ke Matam Mein Hai
Ker Raha Hai Aasman Jadoo Lab-e-Guftar Per
Sahar-e-Shab Ki Nazar Hai Didah-e-Beedar Per
Ghota Zan Daryae Khamoshi Mein Hai Mouj-e-Hawa
Haan, Magar Ek Door Se Ati Hai Awaz E Dra
Dil Ke Hai Betabi-e-Ulfat Mein Duniya Se Nafoor
Khanch Laya Hai Mujhe Hangama E Aalam Se Door
Manzar-e-Herman Naseebi Ka Tamashayi Hun Main
Hum Nasheen-e-Khuftagan-e-Kunj Tanhai Hun Main
Tham Zara Betabi-e-Dil! Baith Jane De Mujhe
Aur Iss Basti Pe Char Aansu Girane De Mujhe
Ae Mye Ghaflat Ke Sermasto! Kahan Rehte Ho Tum
Kuch Kaho Uss Dais Ki Aakhir, Jahan Rehte Ho Tum
Woh Bhi Hairat Khana-e-Amroz O Farda Hai Koi
Aur Pikar-e-Anasir Ka Tamasha Hai Koi
Admi Wan Bhi Hisar-e-Gham Mein Hai Mehsoor Kya
Uss Walayat Mein Bhi Hai Insan Ka Dil Majboor Kya
Wan Bhi Jal Merta Hai Soz-e-Shama Per Parwana Kya
Uss Chaman Mein Bhi Gull-o-Bulbul Ka Hai Afsana Kya
Yan To Ek Misre Mein Pehlu Se Nikal Jata Hai Dil
Shair Ki Germi Se Kya Wan Bi Phigalta Jata Hai Dil
Rishta-o-Pewandiyan Ke Jaan Ka Azaar Hain
Uss Gulistan Mein Bhi Kya Aese Nukile Khar Hain
Iss Jahan Mein Ek Maeeshat Aur So Uftad Hai
Rooh Kya Uss Daes Mein Iss Fikar Se Azad Hai
Kya Wahan Bijli Bhi Hai, Dehqan Bhi Hai, Kherman Bhi Hai
Kafle Wale Bhi Hain, Andaisha Rehzan Bhi Hai
Tinke Chunte Hain Wahan Bhi Aashiyan Ke Wastay
Khishat-e-Gill Ki Fikar Hoti Hai Makan Ke Wastay
Wan Bhi Insan Apni Asliyat Se Begane Hain Kya
Imtiaz-e-Millat-o-Aaeen Ke Diwane Hain Kya
Wan Bhi Kya Faryad-e-Bulbul Per Chaman Rota Nahin
Iss Jahan Ki Tarah Wan Bhi Dard-e-Dil Hota Nahin
Bagh Hai Fardous Ya Ek Manzal-e-Aramhai
Ya Rukh E Be Perwa Husn-e-Azal Ka Naam Hai
Kya Jahanum Maseeyat Sozi Ki Ek Tarkeeb Hai
Aag Ke Sholon Mein Pinhan Maqsad-e-Tadeeb Hai
Kya Ewz Raftar Ke Uss Dais Mein Parwaz Hai
Mout Kehte Hain Jise Ahle Zameen, Kya Raaz Hai
Iztarab-e-Dil Ka Saman Yan Ki Hast-o-Bood Hai
Ilm E Insan Uss Walayat Mein Bhi Kya Mehdood Hai
Deed Se Taskeen Pata Hai Dil-e-Mahjoor Bhi
Lan Tarani Keh Rahe Hain Ya Wahan Ke Toor Bhi
Justujoo Mein Hai Wahan Bhi Rooh Ko Aaram Kya
Wan Bhi Insan Hai Qateel-e-Zauq-e-Istafham Kya
Aah Vo Kishwar Bhi Tareeki Se Kya Mamoor Hai
Ya Mohabbat Ki Tajalli Se Sarapa Noor Hai
Tum Bata Do, Raaz Jo Iss Gunbad-e-Gardan Mein Hai
Mout Ek Chubhta Huwa Kanta Dil-e-Insan Mein Hai
علامہ اقبال
علامہ محمد اقبال (9 نومبر 1877ء – 21 اپریل 1938ء) مفکرِ پاکستان، شاعرِ مشرق، حکیم الامت اور بیسویں صدی کے سب سے عظیم مسلم فلسفی اور شاعر تھے۔ آپ نے اردو اور فارسی زبان میں...
