ابھی وہ خوش ، ابھی ناخوش ، کرم یوں بھی ہے اور یوں بھی
Abhi Woh Khush, Abhi Na-Khush, Karam Yun bhi Hai aur Yun bhi
ابھی وہ خوش ، ابھی ناخوش ، کرم یوں بھی ہے اور یوں بھی
تصرف اُن کا مجھ پر بیش و کم یوں بھی ہے اور یوں بھی
تری قربت ہو ، یا ڈوری ہو ، غم کیوں بھی ہے اور یوں بھی
مرا دل تختہ مشق ستم یوں بھی ہے اور یوں بھی
نقاب رُخ اُلٹ دیں یا نہ اُلٹیں مہ کامل کی تابش
اُن سے کم یوں بھی ہے اور یوں بھی
کبھی ہے دام کا پھندا ، کبھی زنجیر کا حلقہ
برائے مُرغ دل ، زلفوں کا تم یوں بھی ہے اور یوں بھی
یا ترک محبت پر ہو آماده
محبت پر ہو
ہمارا کر تہ تیغ الم یوں بھی ہے اور یوں بھی
وہ اپنے ہاتھ سے مارے کہ ہم فرقت سے مر جائیں
ہمارے سامنے راہِ عدم یوں بھی ہے اور یوں بھی
کبھی جاتا ہوں میں آگے کبھی پیچھے پلٹتا ہوں
جنوں کی راہ میں میرا قدم یوں بھی ہے اور یوں بھی
کھلے گا جب ہمارا دفتر اعمال نیک و خدا سے حشر میں کہہ دیں گے ہم، یوں بھی ہے اور یوں بھی
میسر ہو نہ ہو محفل میں بادہ ہم کو ساقی سے
ہمارے واسطے وہ محترم یوں بھی ہے اور یوں بھی
یہ غزلیں اور یہ نعتیں نصیر انعام قدرت ہے
سر قرطاس جنبش میں قلم یوں بھی ہے اور یوں بھی
Abhi woh khush, abhi na-khush, karam yun bhi hai aur yun bhi
Tasarruf un ka mujh paish-o-kam yun bhi hai aur yun bhi
Teri qurbat ho, ya doori ho, gham kyun bhi hai aur yun bhi
Mera dil takhta-mashq-e-sitam yun bhi hai aur yun bhi
Naqaab-e-rukh ulat dein ya na ultein mah-e-kaamil ki tabish
Un se kam yun bhi hai aur yun bhi
Kabhi hai daam ka phanda, kabhi zanjeer ka halqa
Baraye murgh-e-dil, zulfon ka tam yun bhi hai aur yun bhi
Ya tark-e-mohabbat par ho aamada
Mohabbat par ho
Hamara kar teh-tegh-e-alam yun bhi hai aur yun bhi
Woh apne haath se maare ke hum furqat se mar jayein
Hamare saamne raah-e-adam yun bhi hai aur yun bhi
Kabhi jata hoon main aagay kabhi peechay palatta hoon
Junoon ki raah mein mera qadam yun bhi hai aur yun bhi
Khulay ga jab hamara daftar-e-aamaal naik-o-bad, Khuda se hashr mein keh dein ge hum, yun bhi hai aur yun bhi
Mayassar ho na ho mehfil mein baada hum ko saqi se
Hamare waaste woh muhtaram yun bhi hai aur yun bhi
Yeh ghazlein aur yeh naatein Naseer inaam-e-qudrat hai
Sar-e-qirtas junbish mein qalam yun bhi hai aur yun bhi
پیر نصیر الدین نصیر گیلانیؒ
سید پیر نصیر الدین نصیر گیلانیؒ (14 نومبر 1949ء – 13 فروری 2009ء، گولڑہ شریف، اسلام آباد) خانقاہِ عالیہ گولڑہ شریف کے سجادہ نشین، عظیم صوفی بزرگ، محقق اور قادر الکلام شاعر تھے۔ وہ حضرت...
