دلوں کے گلشن مہک رہے ہیں یہ کیف کیوں آج آ رہے ہیں
Dilo Ky Gulshan Mehak Rahy Hain
دلوں کے گلشن مہک رہے ہیں یہ کیف کیوں آج آ رہے ہیں
کچھ ایسا محسوس ہو رہا ہے حضور تشریف لا رہے ہیں
نوازشوں پر نوازشیں ہیں عنایتوں پر عنایتیں ہیں
نبی کی نعتیں سنا سنا کر ہم اپنی قسمت جگا رہے ہیں
کہیں پہ رونق ہے مفلسوں کی کہیں پہ رونق ہے دل جلوں کی
ہم کتنے خوش بخت ہیں جو نبی کی محفل سجا رہے ہیں
نہ پاس پی ہو تو سونا ساون وہ جس پہ راضی سہاگن
جنہوں نے پکڑا نبی کا دامن انہی کے گھر جگمگا رہے ہیں
کہاں کا منصب کہاں کی دولت قسم خدا کی یہ ہے حقیقت
جنہیں بلایا ہے مصطفیٰ نے وہی مدینے کو جا رہے ہیں
میں اپنے خیرالوریٰ کے صدقے میں ان کی شان عطا کے صدقے
بھرا ہے عیبوں سے میرا دامن حضور پھر بھی نبھا رہے ہیں
بنے گا جانے کا پھر بہانہ کہے گا آ کر کوئی دیوانہ
چلو نیازیؔ تمہیں مدینے مدینے والے بلا رہے ہیں
Dilon ke gulshan mehak rahe hain yeh kaif kyun aaj aa rahe hain
Kuch aisa mehsoos ho raha hai Huzoor tashreef la rahe hain
Nawazishon pe nawazishein hain inayat-on pe inayatain hain
Nabi ki naatein suna suna kar hum apni qismat jaga rahe hain
Kahin pe ronaqein hai maikashon ki kahin pe mehfil hai dil jalon ki
Woh kitne khush-bakht hain jo apne Nabi ki mehfil saja rahe hain
Na paas piya ho toh soona sawan woh jis se raazi wahi suhagan
Jinhon ne pakra Nabi ka daaman unhi ke ghar jagmaga rahe hain
Kahan ka mansab kahan ki daulat qasam Khuda ki yeh hai haqeeqat
Jinhein bulaya hai Mustafa wahi Madine ko ja rahe hain
Habib-e-Dawar, Ghareeb-parwar, Rasool-e-Akram, karam ke paikar
Kisi ko dar pe bula rahe hain kisi ke khwabon mein aa rahe hain
Main apne Khair-ul-Wara ke sadqe mein un ki shaan-e-ata ke sadqe
Bhara hai aibon se mera daaman Huzoor phir bhi nibha rahe hain
Gada ki auqat hai hi kitni haqiqatan hai yeh baat itni
Khuda hai deta Nabi ka sadqa Nabi ka sadqa hi kha rahe hain
Jahan pe main ab khara hua hoon yeh zikr-e-Sarwar ki barkatein hain
Main un ka mushtaq hoon azal se jo sab ki bigri bana rahe hain
Banay ga jaane ka phir bahana kahe ga aa kar koi deewana
Utho Niazi chalo Madine, Madine wale bula rahe hain
عبدالستار نیازی
عبدالستار نیازی 1938ئ میں ریاست کپور تھلہ (انڈیا) میں مستری بدر الدین مغل کے گھر پیدا ہوئے۔
