دل تنگ ہے دلدار کرایہ کے مکاں میں
Dil Tang Hai Dildaar Kiraye ke Makaan mein
دل تنگ ہے دلدار کرایہ کے مکاں میں
جی عاجز و لاچار کرایہ کے مکاں میں
بیوی بھی ہے بیزار کرایہ کے مکاں میں
ٹی وی بھی ہے بیکار کرایہ کے مکاں میں
سو قسم کے آزار کرایہ کے مکاں میں
جس چیز پہ ہر شخص کو کھوکھے کا گماں ہو
جو مالک مرحوم کی آہوں کا دھواں ہو
دن کو بھی جہاں شب کی سیاہی کا سماں ہو
وہ میرا مکاں میرا مکاں میرا مکاں ہے
رہتا ہوں میں بیمار کرایہ کے مکاں میں
مدت سے ہوں سرکار کرایہ کے مکاں میں
فرشوں پہ مرے گردِ مہ و سال جبھی ہے
دیواروں پر پھیلی ہوئی اشکوں کی نمی ہے
دستک کسی آندھی کی دریچوں میں تھمی ہے
اس جھگی کی قسمت میں اُجالے کی کمی ہے
تقدیر ہوئی خوار کرایہ کے مکاں میں
مدت سے ہوں سرکار کرایہ کے مکاں میں
Dil tang hai dildaar kiraye ke makaan mein
Ji aajiz-o-lachaar kiraye ke makaan mein
Biwi bhi hai bezaar kiraye ke makaan mein
TV bhi hai bekaar kiraye ke makaan mein
Sau qism ke aazaar kiraye ke makaan mein
Jis cheez pe har shakhs ko khokhay ka gumaan ho
Jo maalik-e-marhoom ki aahon ka dhuan ho
Din ko bhi jahan shab ki siyahi ka samaan ho
Woh mera makaan, mera makaan, mera makaan hai
Rehta hoon main beemar kiraye ke makaan mein
Muddat se hoon sarkaar kiraye ke makaan mein
Farshon pe mere gird-e-mah-o-saal jabhi hai
Deewaron pe phaili hui ashkon ki nami hai
Dastak kisi aandhi ki dareechon mein thami hai
Is jhuggi ki qismat mein ujaalay ki kami hai
Taqdeer hui khwaar kiraye ke makaan mein
Muddat se hoon sarkaar kiraye ke makaan mein
شکیل عادل
شکیل عادل اردو کے مزاحیہ شاعر ہیں جن کا کلام روزمرہ کی زندگی کے دلچسپ پہلوؤں کو اجاگر کرتا ہے۔
