جہاں روضۂ پاک خیرالوریٰ ہے وہ جنت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
Jahan Rauza-e-Pak Khair-al-Wara Hai Woh Jannat Nahin Hai to Phir aur Kya Hai
جہاں روضۂ پاک خیرالوریٰ ہے وہ جنت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
کہاں میں کہاں یہ مدینے کی گلیاں یہ قسمت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
محمد کی عظمت کو کیا پوچھتے ہو کہ وہ صاحبِ قابِ قوسین ٹھہرے
بشر کی سرِ عرش مہماں نوازی یہ عظمت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
جو عاصی کو دامن میں اپنی چھپا لے جو دشمن کو بھی زخم کھا کر دعا دے
اسے اور کیا نام دے گا زمانہ وہ رحمت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
شفاعت قیامت کی تابع نہیں ہے یہ چشمہ تو روزِ ازل سے ہے جاری
خطا کار بندوں پہ لطف مسلسل شفاعت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
قیامت کا اک دن معین ہے لیکن ہمارے لیے ہر نفس ہے قیامت
مدینے سے ہم جاں نثاروں کی دوری قیامت نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
تم اقبالؔ یہ نعت کہہ تو رہے ہو مگر یہ بھی سوچا کہ کیا کر رہے ہو
کہاں تم کہاں مدح ممدوحِ یزداں یہ جرات نہیں ہے تو پھر اور کیا ہے
Jahan rauza-e-pak khair-al-wara hai woh jannat nahin hai to phir aur kya hai
Kahan main kahan yeh Madine ki galiyan yeh qismat nahin hai to phir aur kya hai
Muhammad ki azmat ko kya poochhte ho ke woh sahib-e-qab-e-qausain thehre
Bashar ki sar-e-arsh mehman-nawazi yeh azmat nahin hai to phir aur kya hai
Jo asi ko daman mein apni chhupa le jo dushman ko bhi zakhm kha kar dua de
Use aur kya naam de ga zamana woh rehmat nahin hai to phir aur kya hai
Shafaat qayamat ki tabi nahin hai yeh chashma to roz-e-azal se hai jari
Khata-kar bandon pe lutf-e-musalsal shafaat nahin hai to phir aur kya hai
Qayamat ka ek din maeen hai lekin hamare liye har nafas hai qayamat
Madine se hum jaan-nisaron ki doori qayamat nahin hai to phir aur kya hai
Tum Iqbal yeh naat keh to rahe ho magar yeh bhi socha ke kya kar rahe ho
Kahan tum kahan madh-e-mamdoh-e-Yazdan yeh jurat nahin hai to phir aur kya hai
اقبال عظیم
سید اقبال عظیم ایک اردو شاعر اور خطہ بنگال میں اردو زبان کے اسکالر تھے۔
